[url=http://www.gulfup.com/?AomQ4i][img]http://www.gulfup.com/G.png[/img][/url]

শুক্রবার, ২ মার্চ, ২০১২

DHAN TU HI DHANNA HAI

 

 

DHAN TU HI DHANNA HAI

 
Aapke pass dhan hai to kya gam hai ,
Dhan hai to sach aap dhanya hai.
Acche ko bure our bure ko accha bana sakte ho.
Din ko raat our raat ko din, sada ko kala our kale ko sada.
Suno, suno –suno mera bahena aur sab dada.

Aap ho katil phir bhi hoga aapka bara hi khatir.
Aap mango chanda ya karo koi galat dhanda,
Chal raha hai paise walo ki bajar bhao monda,
Tandur me bhun dalo ya phir nithari me
Paakeo butterr chicken,kya fark parta hai.
Bare hi swad hai sab kuch chalta hai.

Paise ki bori sab kuch nigal kar thanda kor deta hai.
Income tax ho ,sex-tax, ya rail-tax sab kuch manda chalta hai.
Bichar ho raha bimarsh ho raha hai ,
Kanoon to bas tarik badalta hai sabut mangta hai .

Kaun hai sadhu aur kaun hai chor,
Khicho agur dorr , to sab-ke sab nikelte hai chor.
vartaman samay me sabhi to hai nanga ,
Koun karega aaj samaj me bichar bhai changa.

Kathgare me khare hoker kasam khai jati kebal jhut ki,
Safed suit aur kale coat ki jeb me
bhare jate hai kebal note-hi note se.
Dhan ki is maya- jaal me kale samaj ne
Safed chadar odh liya hai, jise dekhna muskil
bhi our naa mumkin bhi .

Kanoon ki devi banakar pujte ho ,
Aankho me kali patti bhandh kar kalikh hi kalikh poth dete ho.
Dhan ki agar maya nagri na hoti to
Har roj hazaro dhananjay suli par charta,
Our fansi par latkaya jata.

Dhan tu hi dhanna hai, dhan ki is maya nagari dannya hai.
Dhan tune hi bachaya hai hazaro khuni,katil aur balatkari ka
Dam our gam. Es liya dhan tu hi dhannya hay,
Dhan tujhe hazaro salam our namaskar.
 
___________________________________hasanat ______

কোন মন্তব্য নেই: